Gain weight in a week?

Gain weight in a week?
Apna Wazan Sirf 7 dino men barhaen.
Showing posts with label Urdu New Year Greetings. Show all posts
Showing posts with label Urdu New Year Greetings. Show all posts

Urdu New Year Greetings 2016-2017

Urdu New Year Greetings 2016-2017

Naya Saal Mubarak Ho!!
Apnay saath yaadon ki barsaat
Aur duaoon ki soghaat...
Aur aansuon ki baish-baha khazany lutati
Tumhari muntazir meri aankhen,
Tumharay liye khushion ki kalyan
Dhoond rahi hen....
Aur kehti hen....
Aay dill kay makeen..
Naya Saal mubarak ho...


Aatay jaatay saal,
Naye bars ki ibtida hai..
Gaye bars ki intiha hai..
Naye ghamon ki aamad hai,
Guzray ghamon ka khatima hai
Aisay aatay jatay saloon say
Hum bhala kia aas lagayen gay.,


"Meri dua hai kay aap aanay walay 12 Maheny khush raho"


"Men naya saal bs is liye mubarak kerna chahta hon, Kyun kay mujhay lagta hai kay aanay wala naya saal humaray rishtay ko bulandion tak lay kay jaye ga. Aas hai kay tum bhi yehi socho gay. Happy New Year. Aany wala naya saal mubarak ho"

Urdu>>>

UrdU New Year Greetings

UrdU New Year Greetings

Yeh naya saal nai subah ka paigham bhi hai
Yeh naya saal humaray liye inaam bhi hai....
Iss naye saal men, Her khawab ki tabeer milay
Jin ki toqeer nahi, Un ko bhi toqeer milay
Iss naye bars koi tehi dst nazr aaye nahi,
Jiss ki tabeer ho ghum, aisi khaber aaye nahi,
Saal-e-no, Nuskha - taskheer wafa ho jaye
Saal-e-no, Mazhr e tasleem-o-raza ho jaye
Saal-e-no  koi insaan nah mara jaye.....
Saal-e-no aman ki bahoon men guzara jaye
Iss bars shola-e-nafrat ko hawa day nah koi
Jazba-e-Ishq say mamoor rahay saal-e-ravan
ku-a qatil say kahin door rahay saal-e-ravan
Saal-e-no Mazhr-e-amkaan sehr thehry ga
Saal-e-no Mashal-e-arbab nazr thehray ga,

Urdu>>>