Gain weight in a week?

Gain weight in a week?
Apna Wazan Sirf 7 dino men barhaen.

Urdu Hindi SMS Poetry Shayari SMS 88

Urdu Hindi SMS Poetry Shayari SMS 88

  1. Din kay dhaltay hi ujer jati hen aankhen aisay..
    Jis tarah shaam ko bazar kisi gaon men..

  2. Woh to kya aatay, shab-e-hijran to kia kat'ti faraz..
    Bujh gayin aakhir ko sab shamen chiragh-e-jaan samait..

  3.  tuu laakh faraz apni shikiston ko chupaye..
    Yeh chup to teray kurb ka izhar kray hai..

  4.  Hum to samjhay thay Mohabat ka pyambar hai faraz..
    Aur wo bay-mehr bhi toheen-e-huner ker aaya..

  5. Waqat apni ravani men dhalta raha..
    Kahin shikway milay aur kahin thokren..
    Urdu Hindi SMS Poetry Shayari SMS

  6. Mohsin humary sath bra hadsa hua..
    Hum reh gaye humara zamana chala gaya..

  7. Naam us ka honton per ager aaye to rahat c milay..
    Woh tasali hai , dilasa hai, dua hai? Kya hai?

  8. Woh bilkul zindagi ky jesa hai..
    Khobsurat aur bay-aitbar sa..

  9. Medan wafa darbar nahi..
    Yahan nam-o-nisbat ki poch kahan..
    Aashiq to kisi ka nam nahin..
    Kuch ishq kisi ki zaat nahi..
    Gar baazi ishq ki baazi hai..
    Jo chaho lga do dar kesa?
    gar jeet gaye to kia kehna..
    haaray bhi to baazi maat nahi..

  10. Khawab martay nahin..
    Khawab martay nahin..
    Khawab dill men , nah aankhen.. nah shamen kay jo..
    raiza raiza huay to bikher jayen gay..
    Jisam ki moat say yeh bhi mer jayen gay..
    Khawab martay nahi..
    Khawab to roshni hen, hawaen, nawahen..
    Jo kay kalay paharon say ruktay nahin..
    Khawab martay nahi..
    Urdu Hindi SMS Poetry Shayari SMS 
Urdu>>>

No comments: