Gain weight in a week?

Gain weight in a week?
Apna Wazan Sirf 7 dino men barhaen.

Urdu Muhabbat SMS Shayri

Urdu Muhabbat SMS Shayri

Teri nigah-e-naaz men mera wajood bay wajood.
Meri nigah-e-shouq men teray siwa koi nahin..


Kitaboon ki tarah bahot say alfaaz hen mujh men..
Aur kitaboon ki tarah hi men khamosh rehta hon.


Sooraj ki roshni per jinhen naaz tha Faraz
Woh bhi to Zair-e-Saaya-e-Dewaar aa gaye.


Tarsi aankhon men kin kin sahilon kay Khwab thay
Per kishti umer-e-rawan haalat ki daldal men thi..


Kesay paya tha tujhay phir kis tarah khoya tujhay
Mujh sa munkir bhi qaa'ill ho gaya taqdeer ka..


Ab nah woh men hon, nah woh tuu hai, nah woh maazi hai faraz..
Jesay do shakhs tamana kay sarabon men milen..


Meray daman kay muqadar men hai khali rehna..
Aap sharminda nah hoon dast-e-karam say apnay..


Teri qurbat kay lamhay phool jesay
Mager pholon ki umren mukhtasir hain..


Aisa gum hoon teri yaadon kay byanon men..
Dill nah dharkay to sunai nahin deta kuch bhi..


Bzahir aik hi shab hai faraq-e-yaar mager
koi guzarny bethay to umer sari lagay.

Urdu>>>